Saturday, 21 April 2018

                    you make your life easy with your thinking

aaj -kal sabhi log ne jane kis depression se gujar rhe he ,jise dekho vahi udas he chahe reason koi bhi ho. kisi ko job ki tension ,kisi ko exam clearance ki tension or ne jane  kitni tension he , esa nahi he ki ye tnav ya depression phle nahi tha ye phle bhi tha lekin log ise kam kr lete the naturaly process se lekin aaj uska ulta hota he insan ke tnav me aa jane pr ya to medicine leta he, ya social media ka shahra leta he . jbki research btatai he ki phone se nikalne vali radiation hme sabse jyada effect krta he jiska sidha asar hmare brain pr padta he , kabhi kabhi whatsapp pr aaye messege bhi hmara mood khrab kr dete he , darassal ye sab cheeje bnayi thi hmare mnoranjann ke liye ,fb bnayi thi ki hm logo se bat krke apna dil bhla sake , lekin ho kya rha hai vo sab aap logo ke samne he , aaaj ydi aap apnn fb pr wall open kroge to paaoge ki uspr 90% sirf politics or vo bhi gandi or chichori , shyad ab jyadatar logo ka man fb chalane ko n kre in chejo se aahat  hokr ........ 
hme jitna ho sake in sab se ddoor rhna chaiye , jisse kii hm apne family ko time de sake unse pyar se baten kr sake un dooriyo ko mita saake jo is digital era me bad gyi he .... phle ydi khi 5 log ek sath baithe ho to unme kisi topic ko lekar charcha honi shuru ho jati thi jiske achhe prinam aate the lekin aaj ek parivar ke 5 log ek sath aaps me baithkar baten tak bhi nahi krte he qukii social media ne unke beech me bahut dooriya bdha di he ..... jisse ve apne aap ko akela mehsus krte he .. social media hme bahar se to khush rakh sakta he lekin internly jo happiness me apne privar se milti he vo orr khi nahi milegi... 

me apne dosto se yhi khna chahunga ki apne social media vale samay me se kuch samay apni family , apne bachho oor apne dosto ko de , qukki  bura samaay aane pr sabse phle aapki vo virtual goodwill  kam aayegi n ki fb/whatsapp/ insta/twitter pr bnaye gye aap ke dost !

so be happy my all friends if you like this article please share & gave some time to you parents ,your friends , spend some time with childrens , think positive , think good ,because your think made you , its an big secret of life (think big - achieve big)
"विचार बनाएं  जिंदगी"
     
                                                                              © blogger - vikas sharma

No comments:

Post a Comment